Skip to main content

Music Score

Arz Hai Aap Se

Cover of Kismat Ka Khel
Music Score

Arz Hai Aap Se

Year 1956
Lyricist Shailendra
Singers Lata Mangeshkar
Watch Video
Open on YouTube

Embedded from YouTube for reference and discovery. All audio, video, and related rights remain with the respective copyright owners and YouTube channel/uploader.

Musical Traditions
Raag Mishra Bhairavi
Lyrics

Arz hai aapse aapse aur aapse bhi

Khed ki ye bat hai apno se kahi jati hai

Balam aayega aayega balam aayega aayega

Balam aayega aayega chitthi aayi aitwar ki

Sham talak aa jayega aayega

Chitthi aayi aitwar ki sham talak aa jayega aayega


Chahe gairo ko ispe yakin ho na ho

Mera dil kah raha tha ki aayege wo

Pehli pehali mulakat ki wo kasam

Bhulkar bhi nahi bhul payege

Balam aayega aayega balam aayega aayega

Chitthi aayi aitwar ki sham talak aa jayega aayega

Chitthi aayi aitwar ki sham talak aa jayega aayega


Unko bhi ek palak nind aati na thi

Dur the haye wo kitne majbur the

Is taraf mere pehlu me ek aag thi

Is taraf mere pehlu me ek aag thi

Us taraf unke sine me nasur thi

Balam aayega aayega balam aayega aayega

Chitthi aayi aitwar ki sham talak aa jayega aayega

Chitthi aayi aitwar ki sham talak aa jayega aayega


Ha aye sakhi juda kas de mera

Dhani resham ki chunri pehna de zara

Meri aankho se meri aankho se unko bahut pyar hai

Meri aankho me kajal laga de zara

Balam aayega aayega balam aayega aayega

Chitthi aayi aitwar ki sham talak aa jayega aayega

Chitthi aayi aitwar ki sham talak aa jayega aayega

Balam aayega aayega balam aayega aayega

Balam aayega aayega