Music Score
Ibtidaa-E-Ishq Mein Hum Saari Raat Jaage Allah Jaane

Watch Video
Open on YouTubeEmbedded from YouTube for reference and discovery. All audio, video, and related rights remain with the respective copyright owners and YouTube channel/uploader.
Musical Traditions
Lyrics
Ibtidaa-e-ishq mein hum saari raat jaage
Allah jane kya hoga aage, oh maula jane kya hoga aage
Dil me teri ulfat ke bandhne lage dhage

Ibtidaa-e-ishq mein hum
Kya kahu kuch kaha nahi jaye, bin kahe bhi raha nahi jaye

Rat bhar karvat mai badalu, dard dil kaa saha nahi jaye
Nind meri aankho se dur dur bhage
Allah jane kya hoga aage, oh maula jane kya hoga aage
Dil me teri ulfat ke bandhne lage dhage
Allah jane kya hoga aage, oh maula jane kya hoga aage
Ibtidaa-e-ishq mein hum
Dil me jagi prit ki jwala, jabse maine hosh sambhala

Mai Hu tere pyar ka saman, tu mera rahi matwala
Mere man ki vina me tere raag jage
Allah jane kya hoga aage, oh maula jane kya hoga aage
Dil me teri ulfat ke bandhne lage dhage
Allah jane kya hoga aage, oh maula jane kya hoga aage
Ibtidaa-e-ishq mein hum
Tune jab jab aankh milayi, dil se ek awaj ye aayi

Chal ke aab taro me rahenge, pyar ke ham do saudayi
Mujhko teri surat chandani rat lage
Allah jane kya hoga aage, oh maula jane kya hoga aage
Ibtidaa-e-ishq mein hum saari raat jaage
Allah jane kya hoga aage, oh maula jane kya hoga aage
Ibtidaa-e-ishq mein hum saari raat jaage
Allah jane kya hoga aage, oh maula jane kya hoga aage
Ibtidaa-e-ishq mein hum
Add your comments and queries
Share feedback, questions, or corrections. We read every message.