Skip to main content

Music Score

Teri Pyaari Pyaari Surat Ko Kisi Ki Nazar Na Lage

Cover of Sasural
Music Score

Teri Pyaari Pyaari Surat Ko Kisi Ki Nazar Na Lage

Album Sasural
Year 1961
Lyricist Hasrat Jaipuri
Singers Mohammed Rafi
Watch Video
Open on YouTube

Embedded from YouTube for reference and discovery. All audio, video, and related rights remain with the respective copyright owners and YouTube channel/uploader.

Musical Traditions
Raag Mishra Manj Khamaj
Lyrics

Teri pyaari pyaari surat ko

Kisi ki najar na lage chasme baddoor

Teri pyaari pyaari surat ko

Kisi ki najar na lage chasme baddoor

Mukhade ko chupa lo aachal mein

Kahi meri najar na lage chasme baddoor

Mukhade ko chupa lo aachal mein

Kahi meri najar na lage chasme baddoor



Yu na akele fira karo

Sabki najar se dara karo

Yu na akele fira karo

Sabki najar se dara karo

Phul se jyada najuk ho tum

Yaar sambhal kar chala karo

Julfo ko gira lo galo par

Mausam ki najar na lage chasme baddoor

Teri pyaari pyaari surat ko

Kisi ki najar na lage chasme baddoor


Ek jhalak jo pata hai

Rahi wahi ruk jata hai

Ek jhalak jo pata hai

Rahi wahi ruk jata hai

Dekh ke tera rup salona

Chand bhi sar ko jhukata hai

Dekha na karo tum aaina

Kahi khud ki najar na lage chasme baddoor

Teri pyari pyari surat ko

Kisi ki najar na lage chasme baddoor

Mukhade ko chupa lo aachal me

Kahi meri najar na lage chasme baddoor

Dil mein chumbe wo teer ho tum

Chahat ki Taqdeer ho tum

Dil mein chumbe wo teer ho tum

Chahat ki Taqdeer ho tum

Kaun na hoga tumse diwanan

Pyar bhari tasveer ho tum

Nikale na karo tum raho per

Zaro ki najar na lage chasme baddoor

Teri pyaari pyaari surat ko

Kisi ki najar na lage chasme baddoor

Mukhade ko chupa lo aachal me

Kahi meri najar na lage chasme baddoor