Music Score
Kya Mil Gaya ,Haaye Kya Kho Gaya, Mujhe Mere Baalam Ye Kyaa Ho Gaya

Watch Video
Open on YouTubeEmbedded from YouTube for reference and discovery. All audio, video, and related rights remain with the respective copyright owners and YouTube channel/uploader.
Musical Traditions
Lyrics
Kya mil gaya haye kya kho gaya, mujhe mere balam ye kya ho gaya
Hum kho gaye haye tum kho gaye, mohabbat ki raho me dil kho gaya
Kya mil gaya haye kya kho gaya, mujhe mere balam ye kya ho gaya
Hum kho gaye aji tum kho gaye, mohabbat ki raho me dil kho gaya
Ye khusiyo ke pyale chalkte chalenge
Hawao ke aanchal mahkate chalenge
Are naye raste khud-ba-khud khul chalenge

Jidhar se bhi hum-tum bahkte chalenge ho bahkte chalenge
Kya mil gaya haye kya kho gaya, mujhe mere balam ye kya ho gaya
Hum kho gaye aji tum kho gaye, mohabbat ki raho me dil kho gaya
Jaha se safar ye suru ho raha hai
Naye ek jamane ki wo ibtia hai
Kahi hamko bhi tum bhula to na doge
Dhadkata hua dil mera puchta hai ho dil mera puchta hai

Dil mera puchta hai
Hum kho gaye aji tum kho gaye, mohabbat ki raho me dil kho gaya
Kya mil gaya haye kya kho gaya, mujhe mere balam ye kya ho gaya
Har ek bat atito me dhalne lagi hai
Har ek arzu phir machalne lagi hai
Ho tum apni in ankho ka jadu to dekho
Ke dunia hi meri badlane lagi hai o badlne lagi hai

O badlne lagi hai haye haye
Kya mil gaya haye kya kho gaya, mujhe mere balam ye kya ho gaya
Hum kho gaye aji tum kho gaye, mohabbat ki raho me dil kho gaya
Add your comments and queries
Share feedback, questions, or corrections. We read every message.