Music Score
Taqdeer Kaha Le Jayegi Maloom Nahi
Taqdeer Kaha Le Jayegi Maloom Nahi
Watch Video
Open on YouTubeEmbedded from YouTube for reference and discovery. All audio, video, and related rights remain with the respective copyright owners and YouTube channel/uploader.
Musical Traditions
Lyrics
Taqdeer kaha le jaayegi maalum nahi
Taqdeer kaha le jaayegi maalum nahi
Lekin hai yakin aayegi manjil aayegi manjil
Taqdeer kaha le jaayegi maalum nahi
Pairo ki thakan kahati hai thahar
Mushkil hai dagar, lamba hai safar
Pairo ki thakan kahati hai thahar
Mushkil hai dagar, lamba hai safar
Par dil kehta hai gardish bhi aakhir toh kahi pahunchaayegi
Lekin hai yakin aayegi manjil aayegi manjil
Taqdeer kaha le jaayegi maalum nahi
Hairat se na tum dekho mujhko aur haal bhi mera mat puchho
Hairat se na tum dekho mujhko aur haal bhi mera mat puchho
Abb meri tabiyat baato se kuchh bhi na bahalane paayegi
Lekin hai yakin aayegi manjil aayegi manjil
Taqdeer kaha le jaayegi maalum nahi
Lekin hai yakin aayegi manjil aayegi manjil
Taqdeer kaha le jaayegi maalum nahi
Add your comments and queries
Share feedback, questions, or corrections. We read every message.