Skip to main content

Music Score

Zara Thehro Sada Mere, Khuli Palak Mein Jhoota Gussa Band

Cover of Professor
Music Score

Zara Thehro Sada Mere, Khuli Palak Mein Jhoota Gussa Band

Album Professor
Year 1962
Lyricist Shailendra
Singers Mohammed Rafi
Watch Video
Open on YouTube

Embedded from YouTube for reference and discovery. All audio, video, and related rights remain with the respective copyright owners and YouTube channel/uploader.

Musical Traditions
Raag Bhairavi
Lyrics

Zara thehro, jara thehro

Sada mere dil ki jara sunte jaao

Khuli palak mein jhuta gussa, band palak mein pyaar

Jina bhi mushkil hay marna bhi mushkil

Aankho mein ikraar ki jhalki, honto pe inkaar

Jina bhi mushkil hoy marna bhi mushkil

Khuli palak mein jhuta gussa, band palak mein pyaar

Jina bhi mushkil hay marna bhi mushkil


Jis din se dekha tumko, tum lage mujhe apne se

Aur aate rahe aankho mein hay

Aur aate rahe aankho mein ek manchahe sapne se

Samajh naa aaye, kya jita mai aur gaya kya haar

Jina bhi mushkil hay marna bhi mushkil

Khuli palak mein jhuta gussa, band palak mein pyaar

Jina bhi mushkil hay marna bhi mushkil


Tum pyaar chhupake haare, mai pyaar jitake haare

Abb toh saari duniya pe hay

Abb toh saari duniya pe jaahir hai hal hamaara

Pahuch ke is manjil pe lautna abb toh hai dushvar

Jina bhi mushkil marna bhi mushkil

Khuli palak mein jhuta gussa, band palak mein pyaar

Jina bhi mushkil hoye marna bhi mushkil


Ise meri baat na samajho, kya banata hai baat banaake 

Kuchh kahana tha mere dil ka, jaata hun wahi doharaake 

Na ho yakin to padhkar dekho ankhon men ikabaar 

Jina bhi mushkil, marana bhi mushkil

Khuli palak mein jhuta gussa, band palak mein pyaar

Jina bhi mushkil hay marna bhi mushkil