Skip to main content

Music Score

O Kanhayyaa Aaj Aanaa Kvaab Men

Cover of Kanhaiya
Music Score

O Kanhayyaa Aaj Aanaa Kvaab Men

Album Kanhaiya
Year 1959
Lyricist Hasrat Jaipuri
Singers Chorus, Lata Mangeshkar
Watch Video
Open on YouTube

Embedded from YouTube for reference and discovery. All audio, video, and related rights remain with the respective copyright owners and YouTube channel/uploader.

Musical Traditions
Raag Bhairavi
Lyrics

O kanhayyaa aaj aanaa kvaab men

Apni radha ko gale se tu lagana kvaab me



Nain hamare tera mandir aur ye dil aarti

Aur ye dil aarti

Le gayi hai dil hamara teri surat savari

Teri surat savari

Kah rahi hai gungunakar man ki koyal bavari

Man ki koyal bavari

O kanhayyaa aaj aanaa kvaab men

Apni radha ko gale se tu lagana kvaab me


Jab suhani sham aaye yad aaye shaam ki

Yaad aaye shaam ki

Jap rahi hun prem mala mai tumhare nam ki

Mai tumhare nam ki

Tum nahi meri vyakul zindagi kis kam ki

O kanhayyaa aaj aanaa kvaab men

Apni radha ko gale se tu lagana kvaab me

Aaj palako ke jharokho mai bula lungi tujhe

Mai bula lungi tujhe

Dil ke sihasan pe mohan mai bitha lungi tujhe

Mai bitha lungi tujhe

Dono aankhe mich lungi aur chupaa lungi tujhe

O kanhayyaa aaj aanaa kvaab men

Apni radha ko gale se tu lagana kvaab me

O kanhayyaa aaj aanaa kvaab men