Music Score
Lakhoon Taare Asmaan Mein Ek Magar Dhoondhe Na Mila
Lakhoon Taare Asmaan Mein Ek Magar Dhoondhe Na Mila
Watch Video
Open on YouTubeEmbedded from YouTube for reference and discovery. All audio, video, and related rights remain with the respective copyright owners and YouTube channel/uploader.
Musical Traditions
Lyrics
Lakhoon taare asmaan mein ek magar dhoondhe na mila
Dekhke duniya ki diwali dil mera chupchap jala
Dil mera chupchap jala
Lakhoon taare asmaan mein ek magar dhoondhe na mila
Ek magar dhunde na mila ek magar dhoondhe na mila
Kismat ka hai nam magar hai
Kam hai ye duniya walo ka
Phunk diya hai chaman humare khwabo aur khayalo ka
Ji karta hai khud hi ghonth de apne armano ka gala
Dekhke duniya ki diwali
Dil mera chupchap jala, dil mera chupchap jala
Sau sau sadiyo se lambi ye gam ki rat nahi dhalati
Iss andhiyare ke aage ab ae dil ek nahi chalati
Hanste hi lut gayi chandni aur uthte hi chand dhala
Dekhke duniya ki diwali
Dil mera chupchap jala dil mera chupchap jala
Maut hai behtar is halat se nam hai jiska majburi
Kon musafir tay kar paya dil se dil ki ye duri
Kanto hi kanto se gujra jo rahi is rah chala
Dekhke duniya ki diwali
Dil mera chupchap jala dil mera chupchap jala
Lakhon tare aasman me ek magar dhoondhe na mila
Dekhke duniya ki diwali
Dil mera chupchap jala dil mera chupchap jala
Add your comments and queries
Share feedback, questions, or corrections. We read every message.