Music Score
Kuch Sher Sunaata Hoon,(2) Jo Tujh Se Mukhaatib Hai

Watch Video
Open on YouTubeEmbedded from YouTube for reference and discovery. All audio, video, and related rights remain with the respective copyright owners and YouTube channel/uploader.
Musical Traditions
Lyrics
Kuchh sher sunata Hu main
Kuchh sher sunata Hu main, jo tujhse mukhaatib hai
Ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai

Seekhi hai tumse phool ne, hansne ki har Ada
Seekhi hawaa ne tumse hi, chalne ki har Ada
Aainaa tumko dekh ke, hairaan ho gaya
Ek bezubaan tumse, pashemaan ho gaya
Kitni bhi taarif karu, rukti nahi zubaan
Rukti nahi zubaan
Kuchh sher sunata Hu main, jo tujhse mukhaatib hai
Ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai
Ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai
Haatho ki loch ras bhari shaakho ki dastan
Naazuk hatheliyon pe wo, mehandi ka gulsita
Pad jaaye tumpe dhoop to, sanwlaaye gora tan
Makhmal pe tum chalo to, chhile paao gulbadan
Kitni bhi taarif karu, rukti nahi zubaan
Rukti nahi zubaan
Kuchh sher sunata Hu main, jo tujhse mukhaatib hai
Ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai
Ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai
Aankhe agar jhuke to, mohabbat machal uthe
Nazren agar uthe to, qayaamat machal uthe
Andaaz main huzoor ka, saani nahi koyi
Dono jahaan me aisi, jawaani nahi koyi
Kitni bhi taarif karu, rukti nahin zubaan
Rukti nahin zubaan
Kuchh sher sunata Hu main, jo tujhse mukhaatib hai
Ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai
Ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai
Add your comments and queries
Share feedback, questions, or corrections. We read every message.