Music Score
Naav Kagaz Ki Gehra Hai Pani, Zindagi Ke Yahi Hai Kahani (Sad)
Naav Kagaz Ki Gehra Hai Pani, Zindagi Ke Yahi Hai Kahani (Sad)
Watch Video
Open on YouTubeEmbedded from YouTube for reference and discovery. All audio, video, and related rights remain with the respective copyright owners and YouTube channel/uploader.
Lyrics
Naav kaaghaz ki gehraa hai paani
Zindagi ki yahi hai kahaani
Phir bhi har haal mein muskura ke
Duniyadari padegi nibhaani
Duniyadari padegi nibhaani
Naav kaaghaz ki gehraa hai paani
Baat kaanton ki kya
Phool chubhhne lage
Apne saanson se hi ham
Sulagne lage
Baat kaanton ki kya
Phool chubhhne lage
Apne saanson se hi ham
Sulagne lage
Un ummeedon ke jin se khushi thhi judi
Aaj baaki nahin hai nishaani
Phir bhi har haal mein muskura ke
Duniyadari padegi nibhaani
Duniyadari padegi nibhaani
Hausla hai to phir aaj
Haarenge kyun
Is museebat se jeewan ko waarenge kyun
Hausla hai to phir aaj
Haarenge kyun
Is museebat se jeewan ko waarenge kyun
Raah mushkil hai phir
Bhi badhenge kadam
Itni aasan nahin zindagaani
Phir bhi har haal mein muskura ke
Duniyadari padegi nibhaani
Duniyadari padegi nibhaani
Apna jeewan kahaan hai ye apne liye
Sab nibhane padenge wachan jo diye
Apna jeewan kahan hai yeh apne liye
Sab nibhane padenge wachan jo diye
Dard dil mein ho lekin labon par hansi
Umr to hai farz par hai lutaani
Phir bhi har haal mein muskura ke
Duniyadari padegi nibhaani
Duniyadari padegi nibhaani
Duniyadari padegi nibhaani
Add your comments and queries
Share feedback, questions, or corrections. We read every message.