Skip to main content

Music Score

Naav Kagaz Ki Gehra Hai Pani, Zindagi Ke Yahi Hai Kahani (Happy)

Cover of Duniyadari
Music Score

Naav Kagaz Ki Gehra Hai Pani, Zindagi Ke Yahi Hai Kahani (Happy)

Album Duniyadari
Year 1977
Lyricist Vishweshwar Sharma
Singers Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Watch Video
Open on YouTube

Embedded from YouTube for reference and discovery. All audio, video, and related rights remain with the respective copyright owners and YouTube channel/uploader.

Musical Traditions
Raag Bhairavi
Lyrics

Naav kaaghaz ki gehraa hai paani ee

Zindagi ki yahi hai kahaani

Phir bhi har haal mein muskura ke ae

Duniyadari padegi nibhaani ee

Naav kaaghaz ki gehraa hai paani

Zindagi ki yahi hai kahaani

Phir bhi har haal mein muskura ke

Duniyadari padegi nibhaani


Naao kaaghaz ki gehraa hai paani

Ek nadi ki rawaani hai ye

Mauj hai aani jaani hai ye

Haan


Ek nadi ki rawaani hai

Mauj hai aani jaani hai ye

Koi doobe koi tair le

Ek dariyaa toofani hai ye

Naa hi patwaar

Naa hi kinaraa

Paar kashti yeh kaise lagaani

Phir bhi har haal mein muskura ke ae

Duniyadari padegi nibhaani ee


Naav kaaghaz ki gehraa hai paani

Chand lamhon ka yeh khel hai

Aag paani ka yeh mel hai

O o o o

Chand lamhon ka yeh khel hai

Aag paani ka yeh mel hai

Umr bhar ke liye yeh jahaan

Khoobsurat si ik jail hai ae ae ae

Jaankar bhi hai anjaan saare

Aur kya hogi bolo naadaani

Phir bhi har haal mein muskura ke

Duniyadari padegi nibhaani

Naav kaaghaz ki gehraa hai paani

Pyaar ke bin guzaara nahin

Aur koi Sahara nahin


O o o

Pyaar ke bin guzara nahin

Aur koi sahaara nahin

Ham to mehmaan hai

Is jahan ke

Yeh hamaara tumhaara nahin ee ee ee

Kaisa shikwa hai

Kaisi shikayat

Kyun haqeeqat se aankhen churaani

Phir bhi har haal mein muskura ke

Duniyadari padegi naao kaaghaz ki gehraa hai paani


Chaar naghme ho

Ek saaz ho

Ek meethi si aawaz ho

Chaar naghme ho

Ek saaz ho

Ek meethi si aawaz ho

Is safar ke liye ho bahot

Ek meherbaan ho

Hamraaz ho

Phir to jannat se badhkar hai duniya

Aur khushiyon bhari zindagaani

Phir bhi har haal mein muskura ke

Duniyadari padegi nibhaani

Naav kagaz ki gehraa hai paani