Skip to main content

Music Score

Masoom Chehra Ye Qaatil Adaayein

Cover of Dil Tera Diwana
Music Score

Masoom Chehra Ye Qaatil Adaayein

Year 1962
Lyricist Hasrat Jaipuri
Singers Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Watch Video
Open on YouTube

Embedded from YouTube for reference and discovery. All audio, video, and related rights remain with the respective copyright owners and YouTube channel/uploader.

Musical Traditions
Raag Bhimpalas
Lyrics
Maasum chehara ye kaatil adaaye
Ke bemaut maare gaye hum bichaare
Saagar se geheri tumhari nigaahe
Dubo de na hamako ye laakar kanaare
Saagar se geheri

Huwa samna kya ke sau tir khaye
Ajab tir the woh najar bhi na aaye
Huwa samna kya ke sau tir khaye
Ajab tir the woh najar bhi na aaye
Kya hum pe gujari tumhe kya bataaye
Ke bemaut maare gaye hum bechaare
Saagar se geheri tumhari nigaahe
Dubo de na hamako ye laakar kanaare
Saagar se geheri

Mohabbat ki unchhaayi par aa chuke hum
Ke abb raahon ki dhul hai dono aalam
Mohabbat ki unchhaayi par aa chuke hum
Ke abb raahon ki dhul hai dono aalam
Magar keh rahi hai ye dil ki sadaaye
De na hamako ye laakar kanaare
Maasum chehara ye kaatil adaaye
Ke bemaut maare gaye hum bichaare
Maasum chehara

Diya jakhm tumne bada khubsurat
Liya daag hamne bada khubsurat
Diya jakhm tumne bada khubsurat
Liya daag hamne bada khubsurat
Salaamat rahein aapki ye jafaayein ke bemaut
Maare gaye hum bichaare
Saagar se gehari tumhari nigaahe
Dubo de na hamako ye laakar kanaare
Maasum chehara