Skip to main content

Music Score

Sheesha-E-Dil Itna Na Uchhalo

Cover of Dil Apna Aur Preet Parai
Music Score

Sheesha-E-Dil Itna Na Uchhalo

Year 1960
Lyricist Hasrat Jaipuri
Singers Chorus, Lata Mangeshkar
Watch Video
Open on YouTube

Embedded from YouTube for reference and discovery. All audio, video, and related rights remain with the respective copyright owners and YouTube channel/uploader.

Musical Traditions
Raag Bhairavi
Lyrics

La la la la, la la la la, la la la la, la la la la

La la la, la la la la, la la la, la la la la


Machalti-jhoomti thandi hawaye kehti hai

Tadapti maujon ki chanchal adaye kehti hai

Sanwaro zulf ko kali ghataye kehti hai

Ye bhigi-bhigi suhani fizaye kehti hai

Tumhi se aj tumhari nigahe kehti hai

Tumhi se aj tumhari nigahe kehti hai

Ohhhh ohhh

Shisha-e-dil itana na uchhalo

Shisha-e-dil itana na uchhalo

Ye kahi toot jaega, ye kahi phoot jaega

Shisha-e-dil itana na uchhalo


Nazare ho gaye qurban in nazaro par

Machalke a gayi lahare bhi ab isharo par

Ada se tairte phirte hai ham to dharo par

Karenge pyar ka jadu javan baharo par

Ye kahane ai hai sou machhaliya kinaro par

Ye kahane ai hai sou machhliya kinaro par

Ohhhh ohhh

Shisha-e-dil itana na uchhalo

Shisha-e-dil itana na uchhalo

Ye kahi toot jayega, ye kahi phoot jayega

Shisha-e-dil itana na uchhalo

La la la la, la la la la, la la la la, la la la la

La la la, la la la la, la la la, la la la la


Sambhalo hosh ke dariya ka gahra pani hai

Na doob jao kahin bekhabar jawani hai

Jawan bahar kinaron pe ani-jani hai

Zara khayal rahe dil ajab nishani hai

Abhi to pyar ki duniya tumhe basani hai

Abhi to pyar ki duniya tumhe basani hai

Ohhhh ohhh

Shisha-e-dil itna na uchhalo

Shisha-e-dil itna na uchhalo

Ye kahin toot jayega, ye kahin phoot jayega

Shisha-e-dil itana na uchhalo