Music Score
Manbhawan Ke Ghar Jaya Gori
Manbhawan Ke Ghar Jaya Gori
Watch Video
Open on YouTubeEmbedded from YouTube for reference and discovery. All audio, video, and related rights remain with the respective copyright owners and YouTube channel/uploader.
Musical Traditions
Lyrics
Mannbhaavan ke ghar jaye gauri
Ghuunghat me sharamaye gauri
Bandhi rahe ye pyar ki dori
Hame na bhulana, hame na bhulana
Hame na bhulana, hame na bhulana
Mann bhaavan ke ghar jaye gauri
Ghuunghat me sharamaye gauri
Bandhi rahe ye pyar ki dori
Hame na bhulana, hame na bhulana
Hame na bhulana, hame na bhulana
Bachapan ke din khel ganvaye
Aayi jawani to baalam aaye
Bachapan ke din khel ganvaye
Aayi jawani to baalam aaye
Aayi jawani to baalam aaye
Tere aangan baje badhaai gauri
Kyun naina chhalakaye gauri
Bandhi rahe ye pyar ki dori
Hame na bhulana, hame na bhulana
Hame na bhulana, hame na bhulana
Is duniya ki reet yahi hai, reet yahi ha
Haath jo thaame meet wahi hai, meet wahi hai
Haath jo thaame mit wahi hai
Ab hum to huye paraye gauri
Phir tere sang jaye gauri
Bandhi rahe ye pyar ki dori
Hame na bhulana, hame na bhulana
Hame na bhulana, hame na bhulana
Masti bhare sawan ke jhule
Tujhko kasam hai jo tu bhule
Masti bhare sawan ke jhule
Tujhko kasam hai jo tu bhule
Tujhko kasam hai jo tu bhule
Ab ke jab vaapas aaye gauri
Gaud bhari le aaye gauri
Bandhi rahe ye pyar ki dori
Hame na bhulana, hame na bhulana
Hame na bhulana, hame na bhulana
Mann bhaavan ke ghar jaye gauri
Ghunghat me sharamaye gauri
Bandhi rahe ye pyar ki dori
Hame na bhulana, hame na bhulana
Hame na bhulana, hame na bhulana
Add your comments and queries
Share feedback, questions, or corrections. We read every message.