Skip to main content

Music Score

Aye Pyase Dil Bezubaan, Tujhko Le Jaaon Kahan

Cover of Begunah
Music Score

Aye Pyase Dil Bezubaan, Tujhko Le Jaaon Kahan

Album Begunah
Year 1957
Lyricist Shailendra
Singers Mukesh
Watch Video
Open on YouTube

Embedded from YouTube for reference and discovery. All audio, video, and related rights remain with the respective copyright owners and YouTube channel/uploader.

Musical Traditions
Raag Bhairavi
Lyrics

Ae pyaase dil bezubaan

Tujhko le jaaun kahaan

Ae pyaase dil bezubaan

Tujhko le jaaun kahaan

Aa aa aa

Aag ko aag mein dhaal ke

Kab tak jee bahlaayegaa


Ae pyaase dil bezubaan


Ghataa jhuki aur hawaa chali to

Humne kisi ko yaad kiyaa

Chaahat ke veeraane ko

Unke gam se aabaad kiyaa


Ghataa jhuki aur hawaa chali to

Humne kisi ko yaad kiyaa

Chaahat ke veeraane ko

Unke gham se aabaad kiyaa


Ae pyaase dil bezubaan

Mausam ki ye mastiyaan

Aa aa aa


Aag ko aag mein dhaal ke

Kab tak jee bahalayegaa

Ae pyaase dil bezubaan


Taare nahin angaare hain wo

Ab chaand bhi jaise jaltaa hai

Neend kahaan seene pe koi

Bhaari qadmon se chaltaa hai

Taare nahin angaare hain wo


Ab chaand bhi jaise jaltaa hai

Neend kahaan seene pe koi

Bhaari qadmon se chaltaa hai


Ae pyaase dil bezubaan

Dard hai teri daastaan

Aa aa aa

Aag ko aag mein dhaal ke

Kab tak jee bahalayegaa

Ae pyaase dil bezubaan


Kahaan wo din ab kahaan wo raaten

Tum roothe qismat roothhi

Gair se bhed chhupaane ko

Ham hanste phire hansi jhoothhi


Ae pyaase dil bezubaan

Lut ke rahaa teraa jahaan

Aa aa aa

Aa aa aa..